ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre
log darwazon se nikle ki muhajir Thahre
dil ke madfan pe nahin koi bhi rone wala
apni dargah ke hum KHud hi mujawir Thahre
is bayaban ki nigahon mein murawwat na rahi
kaun jaane ki koi shart-e-safar phir Thahre
pattiyan TuT ke patthar ki tarah lagti hain
un daraKHton ke tale kaun musafir Thahre
KHushk patte ki tarah jism uDa jata hai
kya paDi hai jo ye aandhi meri KHatir Thahre
shaKH-e-gul chhoD ke diwar pe aa baiThe hain
wo parinde jo andheron ke musafir Thahre
apni barbaadi ki taswir utarun kaise
chand lamhon ke liye bhi na manazir Thahre
tishnagi kab ke gunahon ki saza hai 'qaisar'
wo kuan sukh gaya jis pe musafir Thahre
Ghazal
Ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre
Qaisar-ul-Jafri