اردو हिंदी
GhanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib | Shaahi Shayari
ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib

Ghazal

GhanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib

Ali Akbar Natiq

;

ghanTiyan bajne se pahle sham hone ke qarib
chhoD jata main tera ganw magar mere nasib

dhup phaili to kaha diwar ne jhuk kar mujhe
mil gale mere musafir, mere sae ke habib

lauT aae hain shafaq se log be-nil-e-muram
rang palkon se uTha lae magar tere najib

main wo pardesi nahin jis ka na ho pursan koi
sabz baghon ke parinde mere watanon ke naqib