ghani-ghaneri raat mein Darne wala main
sannaTe ki tarah bikharne wala main
jaane kaun us par bulata hai mujh ko
chaDhi nadi ke bich utarne wala main
ruswai to ruswai manzur mujhe
Dare Dare se panw na dharne wala main
mere liye kya chiz hai tujh se baDh kar yar
sath hi jine sath hi marne wala main
sab kuchh kah ke toD liya hai nata kya
main kya bolun baat na karne wala main
tarah tarah ke waraq banane wala tu
teri KHushi ke rang hi bharne wala main
daim, abadi, waqt guzarne wala tu
manzar, saya, dekh Thaharne wala main
Ghazal
Ghani-ghaneri raat mein Darne wala main
Rajinder Manchanda Bani