ghaDi-bhar KHalwaton ko aanch de kar bujh gaya suraj
kisi ke dard ki lai par kahan tak nachta suraj
nigahon mein nae andaz se phir raushni hogi
jab ug aaega zehnon mein hamare ek naya suraj
zamin ka karb auj-e-asman par bhi jhalak uTTha
nasheb-e-koh par jurat se jab jab aa mila suraj
hamare ghar ke aangan mein sitare bujh gae lakhon
hamari KHwab gahon mein na chamka subh ka suraj
shabistan-dar-shabistan zulmaton ki ek yurish hai
har ek daman se lipTa hai larazta hanpta suraj
hamare baam-e-dar se aaj bhi lipTi hai tariki
hamare aasmanon mein batao kab uga suraj
suna di dastan apni jo hum ne be-zaban ho kar
misal-e-qatra shabnam bikhar kar ro paDa suraj
Ghazal
GhaDi-bhar KHalwaton ko aanch de kar bujh gaya suraj
Chandrabhan Khayal