gesu o ruKHsar ki baaten karen
aao mil kar pyar ki baaten karen
bewafai jis ka hai tarz-e-amal
bas usi dildar ki baaten karen
aaj-kal paidal safar dushwar hai
KHubsurat car ki baaten karen
le ke niklen ek mobile hath mein
ab to bas be-tar ki baaten karen
jab samajh mein kuchh na aae aap ko
baiTh kar be-kar ki baaten karen
baat kanTon ki tarah jis ki chubhe
kyun usi gulnar ki baaten karen
sulh par jab donon aamada hue
phir ye kyun talwar ki baaten karen
jo yahan dawa baDe wade kare
bas usi sarkar ki baaten karen
kyun ho 'azam' ek mahbuba ki baat
aur bhi do-chaar ki baaten karen
Ghazal
Gesu o ruKHsar ki baaten karen
Imam Azam