اردو हिंदी
Ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai | Shaahi Shayari
ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai

Ghazal

Ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai

Farooq Shamim

;

ghazlon mein ab wo rang na ranai rah gai
kuchh rah gai to qafiya-paimai rah gai

lafzon ka ye hisar bulandi na chhu saka
yun bhi mere KHayal ki gahrai rah gai

kya sochiye ki rishta-e-diwar kya hua
dhupon se ab jo marka-arai rah gai

kab jaane sath chhoD den dil ki ye dhaDkanen
har waqt sochti yahi tanhai rah gai

apne hi fan ki aag mein jalte rahe 'shamim'
honTon pe sab ke hausla-afzai rah gai