اردو हिंदी
Ghazal mein husn ka uske bayan rakhna hai | Shaahi Shayari
ghazal mein husn ka uske bayan rakhna hai

Ghazal

Ghazal mein husn ka uske bayan rakhna hai

Hasan Akbar Kamal

;

ghazal mein husn ka us ke bayan rakhna hai
kamal aaankhon mein goya zaban rakhna hai

jahaz-ran hunar o hausla na le ja sath
hua ke ruKH pe agar baadban rakhna hai

bhara to hai mera tarkash magar ye dil hai gudaz
so umr bhar mujhe KHali kaman rakhna hai

diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae
hawa ke samne ye imtihan rakhna hai

bahut hanse mere is faisle pe saya-nashin
ki sar pe dhup ko ab saeban rakhna hai

ho intizar-e-bahaaran jahan na ranj-e-KHizan
'kamal' aisa bayaban makan rakhna hai