ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo 
nasha hai jis mein suKHan ka wahi sharab hai wo 
use na dekh mahakta hua gulab hai wo 
na jaane kitni nigahon ka intiKHab hai wo 
misal mil na saki kaenat mein us ki 
jawab us ka nahin koi la-jawab hai wo 
meri in aankhon ko tabir mil nahin pati 
jise main dekhta rahta hun aisa KHwab hai wo 
na jaane kitne hijabon mein wo chhupa hai magar 
nigah-e-dil se jo dekhun to be-hijab hai wo 
ujale apne luTa kar wo Dub jaega 
hasin subh ka raKHshanda aaftab hai wo 
wo mujh se puchhne aaya hai mera haal 'afzal' 
jise bata na sakun dil mein iztirab hai wo
        Ghazal
Ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo
Afzal Allahabadi

