ghazab ki kaT thi ab ke hawa ke tanon mein
shigaf paD gae hain be-zaban chaTanon mein
hamare honT hi patthar ke hain wagarna miyan
hum ek aag liye phirte hain dahanon mein
bagula ban ke uTha to main tha KHarabe se
bapa hua na koi hashr aasmanon mein
siyah shahr ki qismat mein mera faiz kahan
charagh-e-nazr hun jalta hun aastanon mein
Tapak paDa hun bil-aKHir main apni aankhon se
chhupa rakha tha mujhe tum ne kin KHazanon mein
sukut ko na kabhi kar sada se aaluda
ki ye zaban hai muqaddas-tarin zabanon mein
suKHan-shanas fasilon ka hai sukut ghazab
suKHan-taraaz hain zanjiren qaid-KHanon mein

Ghazal
Ghazab ki kaT thi ab ke hawa ke tanon mein
Rafiq Raaz