اردو हिंदी
Ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha | Shaahi Shayari
ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha

Ghazal

Ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha

Zaheer Dehlvi

;

ghaugha-e-pand go na raha nauhagar raha
hangama ek na ek mere baalin par raha

eajaz-e-dil-farebi-e-andaz dekhna
har har ada pe mujh ko guman-e-nazar raha

qasid bhi koi sabr-e-dil-e-na-shakeb tha
aate hi aate rah mein kam-baKHt mar raha

parhez-e-ishq se mujhe wahshat fuzun hui to
main kuchh dawa se aur bhi ranjur-tar raha

hai pa-e-harza-naz mein kya gardish-e-nasib
do din na chain se sar-e-shorida-sar raha

uTh uTh ke sath sath mere thak ke rah gaya
main kuchh tapish mein dard se betab-tar raha