gharq-e-gham hun teri KHushi ke liye
yahi sajda hai bandagi ke liye
har kisi ke liye gham-e-ishrat
ishrat-e-gham kisi kisi ke liye
naqsh manzil hai zarre zarre mein
rah-nawardan-e-agahi ke liye
jab se apna samajh liya sab ko
mil gae kaam zindagi ke liye
ab nigahon mein wo samae hain
ab nigahen nahin kisi ke liye
ye jahan gham-kada sahi lekin
ek tamasha hai ajnabi ke liye
itni KHizr-agahi ke baad 'sahab'
DhunDiye kis ko gum-rahi ke liye

Ghazal
Gharq-e-gham hun teri KHushi ke liye
Shiv Dayal Sahab