garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya
sahil pe jab gaya to har insan khul gaya
pahle to long-march ke haq mein diya bayan
phir 'qadri' ko dekh ke 'imrran' khul gaya
ek maulwi ki aankh mein binai aa gai
jab rail mein kisi ka gareban khul gaya
tum nashte ki mez pe baiThi ho is tarah
yun lag raha hai jaise namak-dan khul gaya
do chaar din se meri samaat block thi
tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya
lauTe wo jab safar se kanizon ne ye kaha
bhago janab-e-shaiKH ka saman khul gaya
mere KHutut paDh ke wo roti hai is tarah
lagta hai 'mir-anis' ka diwan khul gaya
mere ishaiye ka tha Time isha ke baad
aaghaz-e-guftugu mein hi mehman khul gaya
bazm-e-suKHan mein puri musaddas unDel kar
had se ziyaada 'KHalid'-e-irfan khul gaya
Ghazal
Garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya
Khalid Irfan