gardish-e-jam nahin ruk sakti
jo bhi ai gardish-e-dauran guzre
subh-e-mahshar hai bala-e-zahir
kisi surat shab-e-hijran guzre
koi barsa na sar-e-kisht-e-wafa
kitne baadal guhar-afshan guzre
ibn-e-adam ko na aaya koi ras
kai aazar kai yazdan guzre
ai gham-e-yar teri rahon se
umr-bhar soKHta-saman guzre
wo jo parwane jale raat ki raat
manzil-e-ishq se aasan guzre
gham-e-hasti ke bayabanon se
kuchh hamin the jo ghazal-KHwan guzre
gham ke tarik ufuq par 'abid'
kuchh sitare sar-e-mizhgan guzre
Ghazal
Gardish-e-jam nahin ruk sakti
Syed Aabid Ali Aabid