gard uDe ya koi aandhi hi chale
ye umas to kisi unwan Tale
ang par zaKHm liye KHak male
aan baiThe hain tere mahal tale
apna ghar shahr-e-KHamoshan sa hai
kaun aaega yahan sham Dhale
dil-e-parwana pe kya guzregi
jab talak dhup bujhe shama jale
rup ki jot hai kala jadu
ek chhalawa ki farishton ko chhale
daldalon mein bhi kanwal khilte hain
naKHl-e-ummid bahar-taur bhale
apne hi rain-baseron ki taraf
lauT aae hain sabhi sham Dhale
mai-kade mein to nasha baTta hai
kaun yan jaanche bure aur bhale
raushni dekh ke chundhiya jaen
jo andheron mein baDhe aur pale
KHar to saif banega gul ki
ye bhale hi kisi gulchin ko khale
raat baqi hai abhi to 'parwez'
baada sar-josh rahe daur chale
Ghazal
Gard uDe ya koi aandhi hi chale
Afzal Parvez