garche sau bar gham-e-hijr se jaan guzri hai
phir bhi jo dil pe guzarti thi kahan guzri hai
aap Thahre hain to Thahra hai nizam-e-alam
aap guzre hain to ek mauj-e-rawan guzri hai
hosh mein aae to batlae tera diwana
din guzara hai kahan raat kahan guzri hai
aise lamhe bhi guzare hain teri furqat mein
jab teri yaad bhi is dil pe garan guzri hai
hashr ke baad bhi diwane tere puchhte hain
wo qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai
zindagi 'saif' liye qafila armanon ka
maut ki raat se benam-o-nishan guzri hai
Ghazal
Garche sau bar gham-e-hijr se jaan guzri hai
Saifuddin Saif