garche kuchh rang us ka kala hai
mera mahbub hai nirala hai
tujh ko milta hai KHub white-miT
teri aankhon mein jo ujala hai
jo akaDta misal-e-sarw rahe
aise afsar ka bol-baala hai
jis ko rishwat ki rahguzar kahiye
hum ne wo rasta nikala hai
chiyunTiyon ki tarah hain chimTi hui
teri yaadon ne mar Dala hai
tum jo baiThi ho sas ke nazdik
zalzala koi aane wala hai
chhup ke apni bahan se mil jae
mera azmat wahi to sala hai
Ghazal
Garche kuchh rang us ka kala hai
Azmatullah Khan