garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu
lekin apne kaam mein yakta hai tu
aashiq o mashuq karta hai juda
ai falak ye kaam bhi karta hai tu
lakh parde gar hon tere husn par
koi pardon mein chhupa rahta hai tu
haal-e-dil kahne lagun hun main to shoKH
mujh se yun kahta hai kya bakta hai tu
pas baiTha us ke main roya kiya
yun na puchha mujh se kyun rota hai tu
raat din tu hai meri aaghosh mein
main tera sahil mera dariya hai tu
bazm mein us tund-KHu ki dauD dauD
kaam kya? kyun? kis liye jata hai tu
wan nahin mutlaq tera mazkur bhi
'mushafi' kis baat par bhula hai tu
Ghazal
Garche ai dil aashiq-e-shaida hai tu
Mushafi Ghulam Hamdani

