gharaz paDne pe us se mangta hai
KHuda hota hai yani manta hai
kai din se shararat hi nahin ki
mere andar ka bachcha lapata hai
bure mahaul se guzra hai ye dil
mohabbat lafz se hi kanpta hai
ye kachchi umr ke aashiq ko dekho
zara ruThe kalai kaTta hai
abhi manzil dikhai bhi nahin di
abhi se hi tu itna hanpta hai
gunahon ki saza sab dusron ko
gareban kaun apna jhankta hai
ajab karigari hai 'mit' us ki
badan ko ruh pe wo Tankta hai
Ghazal
Gharaz paDne pe us se mangta hai
Amit Sharma Meet