اردو हिंदी
Gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe | Shaahi Shayari
gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe

Ghazal

Gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe

Ismail Merathi

;

gar nashe mein koi be-fikr-o-tammul bandhe
chashm-e-mai-gun ko teri jam-e-pur-az-mul bandhe

zikr-e-qamat mein agar fikr taraqqi na kare
rashk-e-tuba to likhe go ba-tanazzul bandhe

taba ki silsila-jumban jo pareshani ho
gesu-e-ghaaliya sa ko tere sumbul bandhe

nala to wo hai ki ghabra ke uTha de parda
lek nazzare ki himmat bhi tahammul bandhe

kuchh na ban aaegi jab luT machaegi KHizan
ghuncha har chand girah kas ke zar-e-gul bandhe

ru-ba-ru us ke lab-e-arz-e-tamanna na hile
zor-e-afsun-e-nazar se gae bilkul bandhe

hain tere band-e-qaba uqda-e-dushwar mere
ki jo khole na khule aur jo gae khul bandhe

na bache par na bache sail-e-fana se na bache
gar koi kangura-e-charKH pe bhi pul bandhe

aankh khulne bhi na pai thi ki us ne fauran
band burqe ke ba-andaz-e-taghaful bandhe

hae wo said ki sayyaad ke pichhe lapke
sar ko fitrak pe har-dam ba-tafawul bandhe