gar kahin us ko jalwa-gar dekha
na gaya hum se aankh bhar dekha
nala har chand hum ne gar dekha
aah ab tak na kuchh asar dekha
aaj kya ji mein aa gaya tere
mutabassim ho jo idhar dekha
aaine ko to munh dikhate ho
kya hua hum ne bhi agar dekha
dil-ruba aur bhi hain par zalim
koi tujh sa na muft par dekha
aur bhi sang-dil hua wo shoKH
tera ai aah bas asar dekha
minnat o aajizi o zari o aah
tere aage hazar kar dekha
to bhi tu ne na ai mah-e-be-mehr
nazar-e-rahm se idhar dekha
sach hai 'bedar' wo hai aafat-e-jaan
hum ne bhi qissa-muKHtasar dekha
Ghazal
Gar kahin usko jalwa-gar dekha
Meer Mohammadi Bedar