اردو हिंदी
Ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin | Shaahi Shayari
ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin

Ghazal

Ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin

Fazl Ahmad kariim Fazli

;

ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin
na ho ye khel to phir lutf-e-zindagi bhi nahin

nahin ki dil mein tamanna mere koi bhi nahin
magar ye baat kuchh aisi ki guftani bhi nahin

abhi main kya uThun niyyat abhi bhari bhi nahin
sitam ye aur ki mai ki abhi kami bhi nahin

adaen un ki sunati hain mujh ko meri ghazal
ghazal bhi wo ki jo main ne abhi kahi bhi nahin

huzur-e-dost mere gu-magu ke aalam ne
kaha bhi un se jo kahna tha baat ki bhi nahin

hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai
ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin

kaha jo tark-e-mohabbat ko shaiKH ne khulla
farishta to nahin lekin ye aadmi bhi nahin