ghamon ki aag pe sab KHal-o-KHad sanware gae
ye kaise karb ke aalam se hum guzare gae
hawa hai is liye bhi sogwar o nauha-kunan
hujum-e-shahr mein hum log la ke mare gae
bisat-e-waqt pe kheli gai hai jab bazi
hami to khel mein har samt rakh ke haare gae
wo chand TuT gaya jis se raat raushan thi
chamak rahe the falak par jo sab sitare gae
jahan jahan se bhi guzri hujum-e-matam mein
shagufta phul se chehre faza pe ware gae
'figar' aag kahan ab dhuan bhi mushkil hai
wo shab ko os paDi hai ki sab sharare gae
Ghazal
Ghamon ki aag pe sab Khaal-o-KHad sanware gae
Saleem Figar