اردو हिंदी
Gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki | Shaahi Shayari
gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

Ghazal

Gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki

Sayyad Ashoor Kazmi

;

gham sahe ruswa hue jazbaat ki tahqir ki
hum ne chaha aap ko hum ne baDi taqsir ki

rauzan-e-zindan se dar aai hai suraj ki kiran
ban gai naqus-e-azadi sada zanjir ki

KHun ke chhinTe paDe hain shaiKH ki dastar par
shahr ki galiyon se aai hai sada takbir ki

zat ke andar talatum zat ke bahar sukut
maslahat-koshi ne kaisi shaKHsiyyat tamir ki

ghar ke darbanon ne sare ghar pe qabza kar liya
hum ne aankhen kholne mein kis qadar taKHir ki

rasta DhunDo ki manzil zat mein mahsur hai
band darwazon ke bahar hai kiran tanwir ki