gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna
to hans ke wo bole hai miyan fikr kar apna
rone se tere kya kahen ai dida-e-KHun-bar
ye KHak mein milta hai dil apna jigar apna
gar baiThte hain mahfil-e-KHuban mein hum us bin
sar zanu se uThta nahin do do pahar apna
lana hai to hamdam use la jald ki hum ko
ahwal nazar aae hai nau-e-digar apna
baaton se kaTe kis ki bhala rah hamari
ghurbat ke siwa koi nahin ham-safar apna
aalam mein hai ghar ghar KHushi-o-aish par us bin
matam-kada hum ko nazar aata hai ghar apna
ya aankhon se ek aan na hota tha wo ojhal
ya jalwa dikhata nahin ab ek nazar apna
har baat ka behtar hai chhupana hi ki ye bhi
hai aib kare koi jo zahir hunar apna
gar ru-ba-ru us ke kisi gham-KHwar ko chupke
kuchh haal sunata hun main ba-chashm-e-tar apna
to kya kahun kahta hai ajab shakl se mujh ko
kuchh honTon hi honTon mein wo munh pher kar apna
kya kya use dekh aati hai 'jurat' hamein hasrat
mayus jo phir aata hai paigham-bar apna
Ghazal
Gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna
Jurat Qalandar Bakhsh