اردو हिंदी
Gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun | Shaahi Shayari
gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun

Ghazal

Gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun

Makhmoor Saeedi

;

gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun
mujhe KHabar hai main apne safar mein tanha hun

mujhi pe sang-e-malamat ki barishen hongi
ki is dayar mein shorida-sar mein tanha hun

tere KHayal ke jugnu bhi sath chhoD gae
udas raat ke sune khanDar mein tanha hun

giran nahin hai kisi par ye raat mere siwa
ki mubtila main ummid-e-sahar mein tanha hun

na chhoD sath mera in akeli rahon mein
dil-e-KHarab tera ham-safar main tanha hun

wo be-niyaz ki dekhi ho jaise ek duniya
mujhe ye naz main us ki nazar mein tanha hun

mujhi se kyun hai KHafa mera aaina 'maKHmur'
is andhe shahr mein kya KHud-nigar main tanha hun