اردو हिंदी
Gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho | Shaahi Shayari
gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

Ghazal

Gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho

Ishq Aurangabadi

;

gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho
mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho

raat parwane ke matam mein gudaz-e-dil se
shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho

ghuncha-e-gul ke tain dekhte hi hum ne kaha
dil-e-pur-KHun ki nishani hai kaho ya na kaho

matha ghisne se mere mahr-jabin ke dar par
subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho

mayyat-e-ishq ka gar dekho ruKH-e-nurani
maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho