gham ko sabaat hai na KHushi ko qarar hai
jo kal tha KHanda-rez wo aaj ashk-bar hai
kahti hai os phul se o be-KHud-e-nashat
ru-e-KHizan bhi zer-e-hijab-e-bahaar hai
jab tak jali jala ki hawa aai bujh gai
ye zindagi bhi sham-e-sar-e-rah-guzar hai
jis ka nafas ki aamad-o-shud par madar ho
aisi hayat ka bhi koi eatibar hai
ek main hi bad-nasib hun mahrum-e-imbisat
duniya ke lab pe zikr bahaaron ka rahe
apni bahaar waqf-e-KHizan ho chuki to ho
har-su jo shor-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai
'asi' tarab-kada tha kabhi ye dil-e-hazin
ai wae aaj hasrat-o-gham ka mazar hai

Ghazal
Gham ko sabaat hai na KHushi ko qarar hai
Aasi Ramnagri