gham ki bhaTTi mein ba-sad-shauq utar jaunga
tap ke kundan sa main ek rose nikhar jaunga
zindagi Dhang se main kar ke basar jaunga
kaam neki ke zamane mein main kar jaunga
mar ke jaana hai kahan mujh ko nahin ye malum
rah ke duniya mein koi kaam to kar jaunga
gham uTha lunga jo baKHshega zamana mujh ko
tere daman ko to KHushiyon se main bhar jaunga
dekhta jaunga muD muD ke tumhaari jaanib
chhoD kar jab main tumhaara ye nagar jaunga
KHak par girne se miT jaegi hasti meri
ban ke aansu tere daman pe Thahar jaunga
lakh be-rang ho taswir jahan ki lekin
rang taswir ke KHake mein main bhar jaunga
tu ne ek bar haqarat se jo dekha ai dost
main zamane ki nigahon se utar jaunga
main to baDhta hi rahunga rah-e-haq mein ai 'nur'
kyun samajhti hai ye duniya ki main Dar jaunga

Ghazal
Gham ki bhaTTi mein ba-sad-shauq utar jaunga
Shyam Sundar Nanda Noor