gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen
gham bhi ras na aaya dil ko aur hi kuchh saman karen
karne aur kahne ki baaten kis ne kahin aur kis ne kin
karte kahte dekhen kisi ko hum bhi koi paiman karen
bhali buri jaisi bhi guzri un ke sahaare guzri hai
hazrat-e-dil jab hath baDhaen har mushkil aasan karen
ek Thikana aage aage pichhe ek musafir hai
chalte chalte sans jo TuTe manzil ka elan karen
'mir' mile the 'mira-ji' se baaton se hum jaan gae
faiz ka chashma jari hai hifz un ka bhi diwan karen
Ghazal
Gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen
Meeraji