gham ka ye saliqa bhi rah gaya hai ab hum tak
zar zar rote hain aankh mein nahin nam tak
yaad jaane walon ki raushni KHayalon ki
dil ka sath deti hai ek manzil-e-gham tak
tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai
subh ru-e-KHandan se sham zulf-e-barham tak
ab nishan mile shayad manzil-e-tamanna ka
tere hijr ke gham se aa gae tere gham tak
ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki
warna sath deta hai kaun aaKHiri dam tak
Ghazal
Gham ka ye saliqa bhi rah gaya hai ab hum tak
Azeem Murtaza