gham ka hamil na kuchh KHushi ka hai 
dil giraftar aashiqi ka hai 
husn aur mail-e-karam tauba 
ye muqaddar kisi kisi ka hai 
koi luTa gaya sar-e-manzil 
tazkira har jagah usi ka hai 
wo nazar bhar ke dekhta hi nahin 
aks dil mein magar usi ka hai 
maut se to mafar nahin hargiz 
asl matam to zindagi ka hai 
nind aankhon se shauq se jae 
ranj furqat mein bekali ka hai 
wo 'nazar' ko bacha ke jate hain 
waqia ye abhi abhi ka hai
        Ghazal
Gham ka hamil na kuchh KHushi ka hai
Nazar Barni

