gham juda pesh raha hai mere afkar juda
dil pe ye mar juda rahti hai wo mar juda
ho gai band jo bimar-e-mohabbat ki zaban
chaara-gar chup hain juda munis-o-gham-KHwar juda
dil bhi kya jins hai manhus wo farmate hain
bechne wale juda rau mein KHaridar juda
tum agar jao to wahshat meri kha jae mujhe
ghar juda khane ko aae dar-o-diwar juda
mal ka mol hai mauquf KHaridaron par
dasht-e-kanan hai juda misr ka bazar juda
mujh se naraaz hain jo log wo KHush hain un se
main juda chiz hun 'natiq' mere ashaar juda
Ghazal
Gham juda pesh raha hai mere afkar juda
Natiq Gulavthi