اردو हिंदी
Gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin | Shaahi Shayari
gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin

Ghazal

Gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin

Fana Nizami Kanpuri

;

gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin
abr uThe aur baras jae zaruri to nahin

barq sayyaad ke ghar par bhi to gir sakti hai
aashiyanon pe hi lahrae zaruri to nahin

rahbar rah musafir ko dikha deta hai
wahi manzil pe pahunch jae zaruri to nahin

nok-e-har-KHar KHatarnak to hoti hai magar
sab ke daman se ulajh jae zaruri to nahin

ghunche murjhate hain aur shaKH se gir jate hain
har kali phul hi ban jae zaruri to nahin