gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle
bata rahi hai ye dil ki dhaDkan wo aa rahe hain KHabar se pahle
ye kis ke gesu se mang lai nasim nikhat sahar se pahle
faza-e-gulshan udas si thi shamim-e-ambar-asar se pahle
bajae KHun mai jhalak rahi hai hamari rag rag se ab to saqi
bahut hi be-kaif zindagi thi KHumar-agin nazar se pahle
nazar nazar aks ru-e-jaanan nafas nafas be-KHudi ka aalam
hijab yun darmiyan se uTTha nazar mili yun nazar se pahle
ghurur viraniyon pe apni abas bayaban ko is qadar hai
riwaj paya hai ye tariqa haqiqatan mere ghar se pahle
ye ahl-e-wahshat ka hausla hai KHizan pe qabza hai fasl-e-gul ka
wo baDh ke sina-sipar hue hain guman-e-barq-o-sharar se pahle
nuqush-e-sajda pe aaj mere wo naqsh-e-pa sabt kar rahe hain
mere muqaddar ki yawari ka ye naqsh uTTha kidhar se pahle
kabhi tasawwur mein aae bhi to ghaneri zulfon ko ruKH pe Dale
hamari qismat mein sham-e-gham thi numud-e-nur-e-sahar se pahle
jahan ki ranginiyon se ab tak 'waqar' bilkul hi be-KHabar the
asir-e-jalwa nazar thi apni shuur-e-zauq-e-nazar se pahle

Ghazal
Gham-e-mohabbat hai kar-farma dua se pahle asar se pahle
Waqar Bijnori