اردو हिंदी
Gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun | Shaahi Shayari
gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun

Ghazal

Gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun

Nushur Wahidi

;

gham-e-KHamosh jo ba-ashk-chakan rakhta hun
ek Thahre hue dariya ko rawan rakhta hun

ek badalti hui duniya ka saman rakhta hun
un ki jaanib se mohabbat ka guman rakhta hun

shauq-e-taza ho ki ho hasrat-e-baalida koi
kuchh na kuchh silsila-e-ah-o-fughan rakhta hun

kuchh jhijakti hui nazren hain KHaridar jamil
main bhi palkon pe sitaron ki dukan rakhta hun

muntazir hain haram-o-dair ke goshe yani
main ne jo shama jalai hai kahan rakhta hun

maslahat hai ki tera tir na KHali jae
warna muTThi mein iradon ki kaman rakhta hun

ghair ke hath mein aazadi-e-raushan ka charagh
main faqat murda charaghon ka dhuan rakhta hun

dagh hun lala-e-aqawam-e-jahan ke dil ka
main bahaaron ke kaleje pe KHizan rakhta hun

teri baKHshi hui aazad jabin ki saugand
ek sajda bhi ghulami mein garan rakhta hun

koi manzil ho mujhe aabla-pai se hai kaam
kuchh zamin kahti hai main panw jahan rakhta hun

inqalabaat-o-azaem ke sanwarne ke liye
ek aaina pas-e-lafz-o-bayan rakhta hun

meri duniya mein na kaba hai na but-KHana 'nushur'
dil ke goshe mein magar dair-e-mughan rakhta hun