اردو हिंदी
Gham-e-jahan mein gham-e-yar zam na kar paya | Shaahi Shayari
gham-e-jahan mein gham-e-yar zam na kar paya

Ghazal

Gham-e-jahan mein gham-e-yar zam na kar paya

Talib Husain Talib

;

gham-e-jahan mein gham-e-yar zam na kar paya
hazar kaam kiya main ko ham na kar paya

mujhe sarab mein manzil dikhai deti thi
so girte paDte bhi raftar kam na kar paya

wo din bhi dekhe hain main ne ki ek luqma-e-tar
dahan tak aaya supurd-e-shikam na kar paya

mujhe ye dukh ki bichhaDne ka waqt tha hi nahin
use malal ki izhaar-e-gham na kar paya

na pas koh-e-nida tha na hath mein banduq
so lauh-e-waqt pe dukhDa raqam na kar paya

kisi ka milna, bichhaDna aur ek do baaten
tamam silsila zeb-e-qalam na kar paya

KHuda ka aks aur us par jamal-e-yar ka aks
faqir mar gaya pani pe dam na kar paya