gham-e-hayat se jab wasta paDa hoga
mujhe bhi aap ne dil se bhula diya hoga
suna hai aaj wo ghamgin the malul se the
koi KHarab-e-wafa yaad aa gaya hoga
nawazishen hon bahut ehtiyat se warna
meri tabahi se tum par bhi tabsira hoga
kisi ka aaj sahaara liya to hai dil ne
magar wo dard bahut sabr-azma hoga
judai ishq ki taqdir hi sahi gham-KHwar
magar na jaane wahan un ka haal kya hoga
bas aa bhi jao badal den hayat ki taqdir
hamare sath zamane ka faisla hoga
KHayal-e-qurbat-e-mahbub chhoD daman chhoD
ki mera farz meri rah dekhta hoga
bas ek nara-e-rindana ek jura-e-talKH
phir us ke baad jo aalam bhi ho naya hoga
mujhi se shikwa-e-gustaKHi-e-nazar kyun hai
tumhein to sara zamana hi dekhta hoga
'asad' ko tum nahin pahchante tajjub hai
use to shahr ka har shaKHs jaanta hoga
Ghazal
Gham-e-hayat se jab wasta paDa hoga
Asad Bhopali