gham-e-hayat miTana hai ro ke dekhte hain
lahu ka dagh lahu se hi dho ke dekhte hain
atash ki nind bahut baDh gai hai aankhon mein
chalo furaat ki bahon mein so ke dekhte hain
hamein hamare alawa bhi jaanta hai koi
wirasaton ki ye pahchan kho ke dekhte hain
tamam umr bahut roe zindagi ke liye
ab apni lash pe kuchh der ro ke dekhte hain
ajib log hain lashon mein zindagi ke nishan
har ek jism mein neza chubho ke dekhte hain
is aarzu mein badan ho gaya hai zaKHm-alud
ki ek raat gulabon pe so ke dekhte hain
hum aadmi ki tarah ji rahe hain sadiyon se
chalo 'salim' ab insan ho ke dekhte hain

Ghazal
Gham-e-hayat miTana hai ro ke dekhte hain
Saleem Siddiqui