gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai
ye wo KHizan hai jo Dubi hui bahaar mein hai
asar sharab ka ahd-e-wafa-e-yar mein hai
qadam qadam pe jo laghzish si e'tibar mein hai
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
shikast-e-hausla-e-zabt-e-gham mujhe manzur
chale bhi aao ki dil kab se intizar mein hai
ye iztirab ka aalam ye shauq-e-be-payan
'shakil' aaj bila-shuba ku-e-yar mein hai
Ghazal
Gham-e-hayat bhi aaghosh-e-husn-e-yar mein hai
Shakeel Badayuni