gham-e-firaq mai o jam ka KHayal aaya
safed baal liye sar pe ek wabaal aaya
milega ghair bhi un ke gale ba-shauq ai dil
halal karne mujhe id ka hilal aaya
agar hai dida-e-raushan to aaftab ko dekh
udhar uruj hua aur idhar zawal aaya
luTae dete hain in motiyon ko dida-e-shauq
bhar aae ashk ki muflis ke hath mal aaya
lagi nasim-e-bahaari jo marifat gane
gulon pe kuchh nahin mauquf sab ko haal aaya
payam-bar ko abas de ke KHat udhar bheja
gharib aur wahan se shikasta-haal aaya
KHuda KHuda karo ai 'shad' is pe naKHwat kya
jo shairi tumhein aai to kya kamal aaya
Ghazal
Gham-e-firaq mai o jam ka KHayal aaya
Shad Azimabadi