اردو हिंदी
Gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki | Shaahi Shayari
gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki

Ghazal

Gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki

Mirza Ghalib

;

gham-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uThane ki
falak ka dekhna taqrib tere yaad aane ki

khulega kis tarah mazmun mere maktub ka ya-rab
qasam khai hai us kafir ne kaghaz ke jalane ki

lipaTna parniyan mein shola-e-atish ka pinhan hai
wale mushkil hai hikmat dil mein soz-e-gham chhupane ki

unhen manzur apne zaKHmiyon ka dekh aana tha
uThe the sair-e-gul ko dekhna shoKHi bahane ki

hamari sadgi thi iltifat-e-naz par marna
tera aana na tha zalim magar tamhid jaane ki

lakad kub-e-hawadis ka tahammul kar nahin sakti
meri taqat ki zamin thi buton ki naz uThane ki

kahun kya KHubi-e-auza-e-abna-e-zaman 'ghaalib'
badi ki us ne jis se hum ne ki thi bar-ha neki