اردو हिंदी
Gham-e-dil kisi se chhupana paDega | Shaahi Shayari
gham-e-dil kisi se chhupana paDega

Ghazal

Gham-e-dil kisi se chhupana paDega

Saifuddin Saif

;

gham-e-dil kisi se chhupana paDega
ghaDi do ghaDi muskurana paDega

ye aalam-e-hasti ye daur-e-zamana
to kya ab tumhein bhul jaana paDega

bahut bach ke nikle magar kya KHabar thi
idhar bhi tera aastana paDega

abhi munkir-e-ishq hai ye zamana
jo dekha hai un ko dikhana paDega

chalo mai-kade mein basera hi kar lo
na aana paDega na jaana paDega

na hoga kabhi faisla kufr o din ka
tumhein ruKH se parda haTana paDega

nahin bhulta 'saif' ahd-e-tamanna
magar rafta rafta bhulana paDega