gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
wasf-e-KHuban ba-hadis-e-digran hai ki jo tha
lazzat-e-arz-e-wafa rahat-e-jaan hai ki jo thi
dil-tapan ashk-e-rawan shauq-e-jawan hai ki jo tha
shara-o-ain ki tazir ke ba-wasf shabab
lab-o-ruKHsar ki jaanib nigaran hai ki jo tha
mere panw se hain uljhe hoe resham ke se tar
hamdamo ye to wahi band-e-giran hai ki jo tha
ishq ki tarz-e-takallum wahi chup hai ki jo thi
lab-e-KHush-gu-e-hawas mahw-e-bayan hai ki jo tha
rah-rau dasht mein fariyaad-kunan hain ki jo tha
KHanda-zan qafila rah-e-baran hai ki jo tha
mughbache KHush hain ki bazm un ki hai saqi un ka
bar-sar-e-kar wahi pir-e-mughan hai ki jo tha
jalwa-e-yar se kya shikwa-e-be-ja kije
shauq-e-didar ka aalam wo kahan hai ki jo tha
halqa-e-waz se ab tak hai gurezan duniya
halqa-e-zulf madar-e-do-jahan hai ki jo tha
mere hansne pe KHafa the mere rone pe hanse
wahi rang-e-sitam ishwa-giran hai ki jo tha
sang-e-tiflan se zara bach ke rahe qasr-e-buland
ye wahi kar-gah-e-shisha-garan hai ki jo tha
dosto ham-nafaso sunte ho 'abid' ki ghazal
ye wahi shoala-nawa soKHta-jaan hai ki jo tha
Ghazal
Gham-e-dauran gham-e-jaanan ka nishan hai ki jo tha
Syed Aabid Ali Aabid