gham do aalam ka jo milta hai to gham hota hai
ki ye baada bhi mere zarf se kam hota hai
kab meri sham-e-tamanna ko milega ai dost
wo sawera jo tera naqsh-e-qadam hota hai
be-KHabar phul ko bhi khinch ke patthar pe na mar
ki dil-e-sang mein KHwabida sanam hota hai
hae wo mahwiyat-e-did ka aalam jis waqt
apni palkon ka jhapakna bhi sitam hota hai
gham hua karta hai aaghaz mein apna lekin
wahi baDhta hai to har ek ka gham hota hai
ishq kar deta hai jab aankh pe jadu to 'shamim'
dair hota hai nazar mein na haram hota hai
Ghazal
Gham do aalam ka jo milta hai to gham hota hai
Shamim Karhani