gham-ba-dil shukr-ba-lab mast o ghazal-KHwan chaliye
jab tilak sath tere umr-e-gurezan chaliye
rahmat-e-haq se jo is samt kabhi rah mile
su-e-jannat bhi ba-rah-e-rah-e-jaanan chaliye
nazr mange jo gulistan se KHuda-wand-e-jahan
saghar-e-mai mein liye KHun-e-bahaaran chaliye
jab satane lage be-rangi-e-diwar-e-jahan
naqsh karne koi taswir-e-hasinan chaliye
kuchh bhi ho aaina-e-dil ko musaffa rakhiye
jo bhi guzre masal-e-KHusraw-e-dauran chaliye
imtihan jab bhi ho manzur jigar-daron ka
mahfil-e-yar mein ham-rah-e-raqiban chaliye
Ghazal
Gham-ba-dil shukr-ba-lab mast o ghazal-KHwan chaliye
Faiz Ahmad Faiz