galiyan hain bahut si abhi diwar ke aage
sansar milenge tujhe sansar ke aage
mani ki nai sharhen thin har baat mein us ki
iqrar se pahle kabhi inkar ke aage
taqdir jise kahte hain duniya ke mufakkir
zardar ke pichhe hai to nadar ke aage
in ko bhi samajhna hai abhi sahab-e-idrak
hote hain haqaeq bhi to aKHbar ke aage
kya izzat-e-sadat zara der na Thahri
dastar bhi pazeb ki jhankar ke aage
ab hath qalam hone hain kya guzri ho socho
jab baat gai hogi ye meamar ke aage
mahdud hi hoti hai sada satwat-e-shamshir
lana hai qalam ko teri talwar ke aage

Ghazal
Galiyan hain bahut si abhi diwar ke aage
Quaiser Khalid