gali-kuchon mein hangama bapa karna paDega
jo dil mein hai ab us ka tazkira karna paDega
natija karbala se muKHtalif ho ya wahi ho
madina chhoDne ka faisla karna paDega
wo kya manzil jahan se raste aage nikal jaen
so ab phir ek safar ka silsila karna paDega
lahu dene lagi hai chashm-e-KHun-basta so is bar
bhari aankhon se KHwabon ko riha karna paDega
mubaada qissa-e-ahl-e-junun na-gufta rah jae
nae mazmun ka lahja naya karna paDega
daraKHton par samar aane se pahle aae the phul
phalon ke baad kya hoga pata karna paDega
ganwa baiThe teri KHatir hum apne mahr o mahtab
bata ab ai zamane aur kya karna paDega
Ghazal
Gali-kuchon mein hangama bapa karna paDega
Iftikhar Arif