اردو हिंदी
Ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai | Shaahi Shayari
ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai

Ghazal

Ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai

Arshad Abdul Hamid

;

ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai
magar ye harf-e-baghawat lahu jo bolta hai

mere ujaDne ki takmil kab hui jaanan
daraKHt-e-yaad ki Tahni pe tu jo bolta hai

sar-sukut-e-adam kis ke honT hilte hain
koi to hai pas-e-diwar-e-hu jo bolta hai

zamane teri haqiqat samajh mein aati hai
hawa ki thap se KHali subu jo bolta hai

nafasaton ka qarina hai teri KHamoshi
magar ye jeb ka tar-e-rafu jo bolta hai

idhar ye kan hain qahr-e-KHizan jo sunte hain
udhar wo peD hai sehr-e-numu jo bolta hai

nafas ke jal mein kab qaid ho saka 'arshad'
wo ek parind-e-fana ku-ba-ku jo bolta hai