اردو हिंदी
Ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke | Shaahi Shayari
ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke

Ghazal

Ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke

Ibn-e-Mufti

;

ghalat-fahmi ki sarhad par kar ke
miTa do fasle isar kar ke

ye karobar bhi kab ras aaya
KHasare mein rahe hum pyar kar ke

lagin sadiyan banane mein jo rishte
wo ek pal mein chale mismar kar ke

gale mil kar hi duri dur hogi
milega kya hamein takrar kar ke

sage bhai bhi ab ek chhat ke niche
wo rahte hain magar diwar kar ke

masail hain ki baDhte ja rahe hain
gulon ka barmala izhaar kar ke

ganwa di izzat-e-sadat 'mufti'
mohabbat mein nigahen chaar kar ke