اردو हिंदी
Ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun | Shaahi Shayari
ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun

Ghazal

Ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun

Ehteram Islam

;

ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun
ras aata kis ko mahshar sach ko sach kahta to kaun

sab ne paDh rakkha tha sach ki jit hoti hai magar
tha bharosa kis ko sach par sach ko sach kahta to kaun

man rakhta kaun wish ka kaun apnata salib
koi isa tha na shankar sach ko sach kahta to kaun

tha kisi ka bhi na maqsad sach ko jhuTlana magar
munh mein rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahta to kaun

aadmi to KHair se basti mein milte hi na the
dewta the so the patthar sach ko sach kahta to kaun

sab haqiqat mein ubharta jab bhi sach lagta na tha
KHwab mein hote ujagar sach ko sach kahta to kaun

yaad tha 'suqraat' ka qissa sabhi ko 'ehtiram'
sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahta to kaun